Chahat

1989

1989

CHAAHAT….

Chahat teri mujhay chahiye

Pal do pal kay wastay

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay

Chahat teri mujhay chahiye

Pal do pal kay wastay

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay…

Kaisa nazron ka jaadu kiya hai

Phool shabnam tujhi pay fida

Aasman pay hain chayee ghataein

Dil nay di hai tujhi ko sadaa

Kaisa nazron ka jaadu kiya hai

Phool shabnam tujhi pay fida

Aasman pay hai chayee ghataein

Dil nay di hai tujhi ko sadaa…

Pyar kay phool sehraon main bhi

Khil uthay hain hansee hain fiza

Dheeray dheeray magan aao dolein

dil ki baatein kaheingi zubaan…

Chahat teri mujhay chahiye

Pal do pal kay wastay

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay

Chahat teri mujhay chahiye

Pal do pal kay wastay

Jeeta hoon teray pyar say

khushyion kay wastay…

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay…

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay…

Jeeta hoon teray pyar say

khushiyon kay wastay…

SHAAM DHAL RAHI HAI….

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai…

Aasmaan bhi rota hai

Mera ghum sunn ney ke baad…

Aasmaan bhi rota hai

Mera ghum sunn ney ke baad…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai…

Muskuratey phoolon parr

Larza shubnam dekh karr…

Muskuratey phoolon parr

Larza shubnam dekh karr…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai…

Aainaa kaamosh hai

Bujh gaye ghar ke charaag…

Aainaa kaamosh hai

Bujh gaye ghar ke charaag…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai…

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

Shaam dhal rahi hai

Tum yaad aa rahe ho…

SAYA….

Kaisa hai ik saya mere peechey peechey jo aaye

Jitna duur hona chahun, wo mere qareeb aata jaaye

Ik saya ik saya ik saya ik saya

Kaisa hai ik saya mere peechey peechey jo aaye

Jitna duur hona chahun, wo mere qareeb aata jaaye

Ik saya ik saya ik saya ik saya…

Duur kahin hai savera, phaila hai harsun andhera

Duur kahin hai savera, phaila hai harsun andhera

Ik saya ik saya ik saya ik saya…

Kaisa hai ik saya mere peechey peechey jo aaye

Jitna duur hona chahun, wo mere qareeb aata jaaye

Ik saya ik saya…

Aaye nazar nahin mujhko, aahat pe dekhun main jisko

Aaye nazar nahin mujhko, aahat pe dekhun main jisko

Ik saya ik saya ik saya ik saya…

Kaisa hai ik saya mere peechey peechey jo aaye

Jitna duur hona chahun, wo mere qareeb aata jaaye

Ik saya ik saya ik saya ik saya…

Ik saya ik saya ik saya ik saya

Ik saya ik saya ik saya ik saya

Ik saya ik saya ik saya ik saya…

WOH DIN….

Pal pal mujhko yaad aatey hein, woh din, haan woh din

Itna phir tarsaatey hein woh din, haan woh din

Pal pal mujhko yaad aatey hein, woh din, haan woh din

Itna phir tarsaatey hein woh din, haan woh din…

Shaam-o-din har lamha, aankhon mein yaadon ka saaya

Shaam-o-din har lamha, aankhon mein yaadon ka saaya…

Pal pal mujhko yaad aatey hein, woh din, haan woh din

Itna phir tarsaatey hein woh din, haan woh din

Pal pal mujhko yaad aatey hein, woh din, haan woh din

Itna phir tarsaatey hein woh din, haan woh din…

AJNABI….

Ajnabi wo chehra bhaaya hai

Ajnabi wo chehra bhaaya hai…

Saahil ka maujon se, aankhon ka spnon se, hai rishta

Ajnabi wo chehra bhaaya hai…

Baadal ka saawan se, jeevan ka saanson se, hai wadaa

Ajnabi wo chehra bhaaya hai…

Duniya mein pyaar ka ye hi silsila

Chalta hai chalta hai chalta hai…

NIGAHEIN…

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein…

Maine maana wo nahin hai mera

Jissey zindagi mein tha kabhi savera

Maine maana wo nahin hai mera

Jissey zindagi mein tha kabhi savera

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein…

Wo nigahein mera dil chookey

Deitee hein sadaaein paas jo bulaein

Wo nigahein mera dil chookey

Deitee hein sadaaein paas jo bulaein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein wo jo hein nigahein

Mujhe samjhaein kaisi kaisi baatein

Nigahein

Nigahein…

JAAGTE RAHEY….

 Tere bagair teri kasam jaagte rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey

Tere bagair teri kasam jaagte rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey…

Iss khauff se ke aakey wo wapas chaley na jaaein

Iss khauff se ke aakey wo wapas chalein na jaaein

Waadey ka unkey rakhkey bharam jaagtey rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey…

 Aaraam se kabhi shab-e-ghum so nahin sakey so nahin sakey

Aaraam se kabhi shab-e-ghum so nahin sakey so nahin sakey

Gin-gin ke unkey lutf-o-karam jaagte rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey…

 Manzil pe jaakey hum tou aaraam so gaye

Manzil pe jaakey hum tou aaraam so gaye

Rastey mein apne naqs-e-kadam jaagtey rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey…

 Tere bagair teri kasam jaagte rahey

Aankhon mein kaat di shab-e-ghum jaagte rahey

Jaagte rahey

Jaagte rahey

Jaagte rahey…

YAARI….

 Ye yaari hai sabse juda, iska nahin koi pataa

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja

Ye yaari hai sabse juda, iska nahin koi pataa

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja…

 Jub koi aa jaata hai mushkil mein kaam

Apna dil karr detey hein hum uskey naam

Jub koi aa jaata hai mushkil mein kaam

Apna dil karr detey hein hum uskey naam

Ye dillagi kaisi bhi ho iska nahin koi pata

Ye dillagi kaisi bhi ho iska nahin koi pata

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja

Ye yaari hai sabse juda, iska nahin koi pataa

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja…

 Apna jeeney ka alag andaaz hai

Jeena marna yaaron hi ke saath hai

Apna jeeney ka alag andaaz hai

Jeena marna yaaron hi ke saath hai

Ye aarzoo kaisi bhi ho iska nahin koi pata

Ye aarzoo kaisi bhi ho iska nahin koi pata

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja

Ye yaari hai sabse juda, iska nahin koi pataa

Kaise shuroo ho jaati hai koi humey bata ja…

KHUSHI AAYEE….

 Khushi aayi badey din baad mere sang jhoom utho

Bahaar aayi fiza ke baad mere sang jhoom utho

Khushi aayi bade din baad mere sang jhoom utho

Bahaar aayi fiza ke baad mere sang jhoom utho

 Har ik lamha, khushyon ka hai

Nazron ka kya, yeh dhoka hai

Har ik lamha, khushyon ka hai

Nazron ka kya, yeh dhoka hai

Khushi aayi badey din baad mere sang jhoom utho

Bahaar aayi fiza ke baad mere sang jhoom utho

Jhoomo khushi mein, har pal har dum

Bhool ke har dukh, har koi gham

Jhoomo khushi mein, har pal har dum

Bhool ke har dukh, har koi gham

Khushi aayi badey din baad mere sang jhoom utho

Bahaar aayi fiza ke baad mere sang jhoom utho

 Aaj nahin koi tanhayee

Harsoo khushboo si hai chayee

Aaj nahin koi tanhayee

harsoo khushboo si hai chayee

Khushi aayi bade din baad mere sang jhoom utho

Bahaar aayi khizaan ke baad mere sang jhoom utho

 Jhoom utho

Jhoom utho

Jhoom utho…

UDAASIYAN….

 Lo chaa gayee udaasiyan, gulon ka rang utar gaya

Qareeb aakey koi mere saaya sa guzar gaya

Mila tha jo bahar mein, fiza mein wo bichar gaya

Sanwar sanwar ke rang-e-pyaar jaaney kyun bikhar gaya…

 Harr eik naghma pyaar ka, fizaon mein bikhar gaya

Na jaan-e-jaan kahan gayee, na jaaney dil kidhar gaya

Ho ro rahi kali kali, ghum ki shaam dhal gayee

Tumhari yaad aayee iss tarha meri jaan nikal gayee

Ho jaan-e-jaan

Hai aasmaan surkh kyun, dil mera machal gaya

Buna tha sapna jo kabhi toot ke bikhar gaya…

Koi nahin dil mein aarzoo, roshni kahin hai duur

Kahan hai khushiyon ki wo lari jo aankhon mein piroyee thi

Ho zindagi harr ghari, aas mein kat rahi

Tumhari yaad aayee iss tarha meri jaan nikal gayee

Ho jaan-e-jaan

Hai chaarsu khamoshiyan, dil ka dard bard gaya

Nikhar nikhar ke pyaar ka wo aashiyan ujar gaya…

HUSN….

Husn walon ko bhi tum lagti ho khuda

Hum-dum dil nasheen ho tum sabse kyun juda

Mujhse ho khafaa kyun, detaa hun sada

Aankhon mein tou dekho kitna dil dukha

Husn walon ko bhi tum lagti ho khuda

Hum-dum dil nasheen ho tum sabse kyun juda

Mujhse ho khafaa kyun, detaa hun sada

Aankhon mein tou dekho kitna dil dukha…

Na dua na hai khat, na payaam na salaam

Kyun ho roothey huye mere saathi

Eik nazar pyaar ki daal do tum kabhi

Mera dil hai udaas shaam se

Na dua na hai khat, na payaam na salaam

Kyun ho roothey huye mere saathi

Eik nazar pyaar ki daal do tum kabhi

Mera dil hai udaas shaam se…

Mere saathi…

Husn walon ko bhi tum lagti ho khuda

Hum-dum dil nasheen ho tum sabse kyun juda

Mujhse ho khafaa kyun, detaa hun sada

Aankhon mein tou dekho kitna dil dukha

Husn walon ko bhi tum lagti ho khuda

Hum-dum dil nasheen ho tum sabse kyun juda

Mujhse ho khafaa kyun, detaa hun sada

Aankhon mein tou dekho kitna dil dukha…

Ye tere pyaar ki kaisi jaadugari

Meri saanson mein khushboo hai teri

Harr kali ki mehek, rang kaliyan dhanak

Sab hain tujhpe fida jaan se

Ye tere pyaar ki kaisi jaadugari

Meri saanson mein khushboo hai teri

Harr kali ki mehek, rang kaliyan dhanak

Sab hain tujhpe fida jaan se…

Mere saathi

Mere saathi

Mere saathi…

GORE RANG KA ZAMANA….

Ho gore rang ka zamana…

Ho gore rang ka zamana kabhi hoga na purana

Gori darr tujhey kiska hai tera tou rang gora hai

Haaye tera tou rang gora hai

Gore rang ka zamana kabhi hoga na purana

Gori darr tujhey kiska hai tera tou rang gora hai

Haaye tera tou rang gora hai…

Gori gori baahon ka mazaa hi kuch aur hai haaye

Neeli neeli aankhon ka nasha hi kuch aur hai

Gori gori baahon ka mazaa hi kuch aur hai

Neeli neeli aankhon ka nasha hi kuch aur hai

Gore rang ka nazara lagey sabko hi pyaara

Zaraa kar tu ishara gori ye o darr tujhe kiska hai haaye

Tera tou rang gora hai

Gore rang ka zamana kabhi hoga na purana

Gori darr tujhey kiska hai tera tou rang gora hai

Haaye tera tou rang gora hai…

Saanwla salonda rang kitnon ko bhaata hai haaye

Jise dekho goriyon ke peeche chala aata hai

Saanwla salonda rang kitnon ko bhaata hai

Jise dekho goriyon ke peeche chala aata hai

Gore rang ka nazara lagey sabko hi pyaara

Zaraa kar tu ishara gori ye o darr tujhe kiska hai haaye

Tera tou rang gora hai

Gore rang ka zamana kabhi hoga na purana

Gori darr tujhey kiska hai tera tou rang gora hai

Haaye tera tou rang gora hai…

Soyee soyee aankhon ka khumaar yaad rakhna haaye

Meethi meethi baaton ki bahar yaad rakhna

Gori darr tujhey kiska hai

Tera tou rang gora hai

Tera tou rang gora hai

Tera tou rang gora hai

Tera tou rang gora hai…

Leave a comment